Part 1- Hamari Awaz Suno !
Har field mein, chahe wo sports ho, arts ho, commerce ho ya science, humein barabar ke avsar milne chahiye. Gender stereotypes ko tod kar humein apni potential dikhane ka mauka milna chahiye. Humare physical aur mental health ka bhi khayal rakha jana chahiye aur humein bhi apne health concerns ke baare mein openly baat karne ka haq hona chahiye bina kisi judgement ke. Gender equality sirf ladkiyon ke liye nahi, hum ladkon ke liye bhi important hai. Barabari tabhi possible hai jab hum sabko ek nazar se dekhenge aur treat karenge.
Apne thoughts aur feelings ko express karne ka haq har ladke ko milna chahiye. Humare emotions ko bhi importance di jani chahiye, aur humein freely apni baat kehne ki freedom honi chahiye. Yeh sirf mere khayalat nahi, balki har us ladke ki awaz hai jo apne haq ke liye lad raha hai. Humein barabari chahiye, aur yeh tabhi possible hai jab hum sab milkar iske liye awaz uthayenge. Har ladke ki awaz suno, kyunki hum bhi insaan hain aur humara bhi haq hai barabari ka.
Selected good points to talk about.. Nicee 🤝
ReplyDeleteThanks for the support 🫶🏻
Delete